|
 |
 |
|
Ghulaam
|
| |
|
Lyrics by Najaf
Music by Teeps and Feefu
Kaid mein hai tu para
Zamanay say yahan
Zulm kiye zulm sahey
Kuch nahin pata
Jo mila, tu nay liya
Hai kokh say kabar talak
Ghulaam
Ghulaam
Lay chabi, lay chabi, chabi lay
Farar ho Ghulaam
Lay chabi, lay chabi, chabi lay
Farar ho Ghulaam
Na tu nay kabhi parha
Likha, kiya sawaal
Na socha kay hai tera
koi aur bhi jawaaz
Jo mila, tu nay liya
Hai kokh say kabar talk
Ghulaam
Ghulaam
Lay chabi, lay chabi, chabi lay
Farar ho Ghulaam
Lay chabi, lay chabi, chabi lay
Farar ho Ghulaam
Ghulaam!
|
|
Raat
Lyrics and Music by Najaf
Waisay hee jeena aasaan nahin tha
Laga dee jaana tu nay aag
Diya tu nay, jo nahin tha paas
Jaga dee hai sadyon ki soyee pyaas
Jaagun mein saari, saari raat
Jaagun mein saari, saari raat
Mujhay kabhi koi armaan nahin tha
Maangun ab tujh ko, kyun har saans
Roag laga hai, na choray saath
Ulajhti jaey kainat
Jaagun mein saari, saari raat
Jaagun mein saari, saari raat
Thehray wo paani jo ravaan thay
Baadal bhi theyray jo jehan thay
Pucha mujh say bata day ye raaz
Raat kyun karti hai sochon ka aghaaz
Jaagun mein saari, saari raat
Jaagun mein saari, saari raat!
Soon
to follow...Sahara, Fidaeen and Jeevan Jaal!
|
|
|